Followers

Total Pageviews

Poetic (collection)

1. Khali jaam liya baithe ho
    un aankhon ki baat karo,
    raat bahut hai - pyaas bahut hai,
    baarsaton ki baat karo


2. Mein ne to bohat chaha magar wo mila hi nahi
    lakh koshish ki magar faasla mita hi nahi
    us ko majboor zamane ne iss kadar kar diya k
    meri kissi saada par woh thehra hi nahi
    khuda se jholi pehla kay manga tha usay
    khuda ne meri kissi dua ko sunna hi nahi
    har eik se pucha sabab us kay na milne ka
    hat eik ne kaha woh tere lite bana hi nahi


3.  Kisi be-sahaara dil ko
     na satao is tarah se
     kahin aah kar na baithe
     koi bad-naseeb jal ke


4. Dil ki choto ne kabhi
   chain se rehne naa diya
   jaab chali sard hawa - maine tujhe yaad kiya
   iska ghum nahi ki kyun tu ne kiya dil barbaad
   iska ghum hai ke bahut der mein barbaad kiya hai


5. Waqt sari zindegi mein
   do hi guzre hai kathin
   ek tere milne se pehle
   ek tere milne ke baad


6. dil ki baat labon tak lakar ab tak hum dukh sehte hai
    humne suna tha iss basti mein dilwale bhi rehte hain
    ek humein awara kehna koi bada ilzaam nahi
    duniyawale dilwalon ko aur bahut kuch kehte hain


7. hazaaron khwahishain eisee ke har khwahish pe dam nikle
    bohot nikle mere armaan lekin fir bhee kam nikle



8.  Kaash wo apne gham mujhe
     de den to kuch sakoon mile


9. If anyone asks you
    how the perfect satisfaction
    of all our sexual wanting
    will look, lift your face
    and say,
    Like this.


  When lovers moan,
   they're telling our story.
   Like this. (RUMI)




10. Kheench leti hai mujhey us ki mohabat warna ....
      kai baar mili hoon aakhri bar us say ....


11. Laakh Tod ke aa jaaooN us-sey rishtaa wasim.....
      Main jaantaa huN wo jab chahegaa mujhey bulaa legaa.....



12. Woh kehte the, rone se nahi badal sakta naseeb;
    Unki is baat ne umar bhar hame rone bhi na diya!!


13. guzar ta nahi ke wo ek lamha
      idhar mein hun ke beeta ja rahaa hun

14.  Koi tumse pooche kaun hoon main,
      Tum keh dena koi khaas nahi,